Friday, 13 May 2016

Aam ki Barfi


Aam ki Barfi: 
{Summer main Aam aur Tarbooj Dono ka maja Ek Saath milta hai}

Samagri: Ek Aam ka pulp, Adha kilo Lal Guda Nikla hua Tarbooj Ya Petha, 100gm Sugar,( Chandi ki warak yadi asli ho to)

Tarbooj Ki Fanken  Kat kar ka Lal Guda Nikal len Khane ke liye.  Bache hui Fankon ka Chilka Uatar kar kaddukash kar len. Tarbooj ki jagah Petha ka estemal jada uchit hoga par costly padega.



Tarbooj ke Es kase hue Lachche ko Pan main rakh karDhimi  Aanch par chadha den aur Matra anusar Sugar mila kar Dhak den.Beech main Dhyan rakhen kalchi se chala den taki Sugar Jalne na paye. Phir Dhakkan hata kar uske pani ke evqaporate hone ka intajar karen.


Ek Dusre pan main main 2 chamach Sugar 50ml pani main mila kar Ek Tar ki Chashni Bana len. Ab Ek Aam ka pulp esmin mila kar Dhimi Aanch par chalate rahen. Thick paste ho jane ke bad Es Aam ke pulp ko pakaye hue Tarbooj ke Lache wlale pan main Dal kar mila den.


Aur Dhimi Aanch par Chamach se Chalate rahen 1-2 minut ke baad Esko Danda hone par  Baul main Nikal len. 5 minute ke liye esko Freeger main Rakh den.

Phir Es material ko Kagaj ki Katoriyon main Chamach Se dal kar Saja den.Bahut hi Lajiz Aam ki Barfi ban kar tayiyar.Esko sajane ke liye Es par Chandi ki Warak bhi lagayi ja sakti hai .
 Ese kahete hain Aam ke Aam aur Guthli ke bhi Dam.


No comments:

Post a Comment