Monday 23 October 2017

SONDHEE MEWA LADOO


SONDHEE MEWA LADOO


Ingredients ( Awashyak Samagri):



250 Makhane, 250 gram Kaju, 250 gram Bheege Hue Badadam( Chilka utare hue), 250 gram Sakkar pisi hui, 50 gram Desi gee main bhuna hua Gond  10 gram Choti Elayechi,5 gram Bhigi kesar,250 gram Desi Ghee.




Procedure (Vidhi):

Kdhai main Makhane Dhimi Aanch par chadakar thoda thoda Desi Ghee dal dal kar chaate rahen jab takMakhane kurkure Bhun na jayen, Dhyan rahe ki Makhano k aka rang Gulabi na hone paye uske liye dheeraj ke saath dheemi aanch par hi Bhune.Bhun Jane par Mixi main uska powder banal en. Kaju ko bhi Muxi main peeskar powder Banal en aur phir Chike utare hue badam bhi pees len aur Bhune hue Gond ko bhi.Elaychi ke dano ko Sel batte se ya khadal main pees len aur bhigi hui Kesar main mila den. Phir en sabko achchi tarah mula len. Eske baad Desi Ghee Halka garam karke mila den jo ki Laddoo bandhne main sahayak bhi hoga aur eski nutrition vale bhi badh jayegi. Eska sevan Jadon main kafi Labhdayak hoga. Aur yeh Poori tarah Falahari hai.