Monday 5 February 2018

Kuch Bhartiye aur Chini Khadya Vastuon main samantaon ke udaharan


Jadatar log yahi jante hain ki Chinese log Non-veg hi Khate hain. China jane par vegetarians ko Khane ki smashya hogi. Par Ayesa poortaya satya Nahin Hai. Han ,unke Bhojan ki preparation vidhi thodi bhinn hone se pasand ya napasand ka sawal uth sakta hai. Yeh sach haiki Non veg.unke khane main pramukhta hoti hai. Par Ayesa bhi nahin ki woh vegetarian khana khae nahin. Sabjeeyon main Chini log Saag ki kai varieties (leafy vegitables) ki Sabjiyon ka sevan karte hain apne khane main. Buddhisht temples main Prasad vegitarian hi milta hai Mukhyataya Bhaat(boiled rice),Saag ki sabjiyan aur Chawal,Til,Moongfali,layiya ya Murmure se bani Mithai. KuchKhane ,Fal aur pakwan dekhiye ,aapko bhartiya Khane jaise hi lagenge.Ayisa lagta hai ki Bharat aur China ka cultural exchange ka purana sambandh prakat hota hai. Yeh ek shodh ka vishay bhi ho sakta hai.
Yadi aapke pass kitchen hai to China main aapko woh saari khane ki samagri mil sakti hain jo Bharat main. yahan ki banaspati -ped paudhon ki prajatiyan ekdam ek jaisi hi hain.kuch ko chod kar.
Yeh Drashya Hai Xilong area ki traditional market of Guangzhou,China














No comments:

Post a Comment